Khawab Mein Afsardah Dekhne Ki Tabeer
Hazrat karmani rahmatullah alaihi nay farmaya hai keh khwab mein afsardah khana gham aur andwah hai, agar dekhe keh afsardah chease khata hai to daleel hai keh usi qadar us ko gham aur andwah hoga, aur agar dekhe keh us ko kisi nay afsardah chease di hai aur us nay kha li hai to us amar ki daleel hai keh us kay sath jang aur khasomat parega aur agar nahi khai hai to gham na honay ki daleel hai.
Hazrat jabar magrabi rahmatullah alaihi nay farmaya hai keh khwab mein afsardah ka khana daleel hai keh wo jang aur khasumat mein parega, hasil yeh hai keh afsardah chease kay khanay mein kuch faida nahi hai.