Khwab mein Aab Khana Dekhna

Aab-Khana

Khwab Mein Pani Ka Ghar Dekhne Ki Tabeer

Hazrat ibn e sireen rahmatullah alaihi ne farmaya hai, agar koi khwab kay andar pani ka ghar banae to daleel hai keh duniya kay maal par harees aur raghab hoga aur mal se kuch kharch na karna chahega, ehlay tabeer ne bayan kia hai keh us ko jadugar aurat milegi aur aurat haram khor aur bad diyanat hogi.

agar aab khana mein apnay aap ko bool o pakhana karta dekhe to daleel hai keh maal ko jama karega aur agar dekhe keh aab khanay mein ya aab khanay kay garhay mein gira hai to daleel hai keh maal jama karne mein gharq hoga aur agar dekhe keh wo khud aab khane kay kunwain mein gira hai to daleel hai keh kisi ka maal chinayga aur agar dekhe keh girtay hi hath aur paon toot gay hain to daleel hai keh sakht bala mein girftar hoga.

Hazrat Jafar sadiq razi Allah o anha ne farmaya hai keh khwab mein aab khana ka dekhna panch qisam par hai, Awwal: Maal haram, Doom: Aish Duniya, Soom: khazana, Chaharam: haram mein shuru, Panjam: Khidmat gaar aur haram khoor aurat.

Leave a Comment