Khwab Mein Afsoon Yani Jantar Mantar Karna Dekhne Ki Tabeer,
Hazrat ibn e sireen rahmatullah alaihi ni farmaya hai keh khwab mein afsoon karna logon ko fareefta karna hai, lekin Allah tala kay asma aur ayaat Quran kay sath ho, agar afsoon gar khwab mein dekhe keh us say us ko ya kisi ne dusray ko shifa aur rahat hoi hai to daleel hai keh gham se rahat pa kar dili murad ko pohanchega aur agar us kay khilaf dekhe to gham aur andwah ki daleel hai,
Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar afsoon main Allah tala ka zikar na kare to khwab mein afsoon karna batil hai, aur agar afsoon Quran majeed aur asma e ilahi se kare to daleel hai keh us ne haq aur rasti ka kaam kia hai aur us se us ko dono jahan ki khair o salah hasil hogi.