Khwab mein Aawikhtan Dekhna

Aawikhtan

Khwab mein Aawikhtan Latkana Dekhna,

Hazrat daniyal alaihissalam nay farmaya hai keh agar koi khwab mein dekhe keh badshah nay us ko latkanay ka hukam diya hai to daleel hai keh badshah se hashmat aur martaba aur bazurgi paega, phir akhir kaar khalal parega,

aur agar dekhe keh us ko latke hoye log dekhte hain to us amar ki daleel hai keh us qoum par hakoomat aur sardari paega, aur dekhe keh log jama hain aur us ko latka diya hai to daleel hai keh us qoum ka sardar aur farma rawa hoga, aur agar dekhe keh kisi namaloom borhay nay us ko latka diya hai aur loog us kay nazaray mein hain to daleel hai keh makhlooq par hakim hoga, khaas kar apnon ko bhi nazaray main bhi shamil dekhe aur agar dekhe keh apnay aap ko latka diya hai aur kisi ne us ka nazara nahi kiya hai balkeh apnay aap ko khud hi latka howa dekha hai to us amar ki daleel hai keh apnon par hakomat karna chahta hai lekin us ka koi shakhs matee na hoga.

Hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar khwab mein dekhe keh us ko logon ne latkaya hai aur rassi katt gai hai aur wo gir para hai to bazurgi aur izzat aur martabay se girnay ki daleel hai.

Leave a Comment