Khwab mein Aatsheen Parastidan Aag Ka Pojana

Aatsheen-Parastidan

Khwab mein Aatsheen Parastidan Aag Ka Pojana

khawab mein aag ka pojna hazrat daniyal alaihissalam ne farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein dekhe keh aag ko sajdah karta hai to us amar ki daleel hai keh zalim badshah ko sajdah karega aur us ki khidmat mein mashghool hoga aur us ko razi na kar sakega aur agar dekhe keh tanoor ya aag ya charagh ko sajdah karta hai to daleel hai keh aurton ki khidmat mein mashghool hoga aur agar dekhe keh aag ko pojta aur bosa deta hai to daleel hai keh badshah ka mukhbar hoga.

agar dekhe keh aag mein khwar ho raha hai to daleel hai keh badshah ki sadagri ki ragbat karega, lekin natija acha na hoga. khas kar agar aag se jisam par takleef pohanche, aur agar aag se jisam ko takleef na pohanche to daleel hai keh salamti aur jamiat khatir badshah waqt se dekhega aur agar khwab mein aag kay andar chala jae to daleel hai keh badshah se usi qadar faida uthaega.

agar khwab mein dekhe keh aag us kay chehray ya kapray ya hath se roshani deti hai, chunancha log us kay noor se hairan ho jaen to daleel hai keh dushman par fatah aur dono jahan ki murad paega aur yeh mojza hazrat moosa alaihissalam ka firaon kay muqablay mein tha.

Hazrat ismael ashat rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein dekhe keh aag ko pojta hai to daleel hai keh shahi bazdari karega aur agar inkari ki shakal par hai to us ki gharz deen se maal jama karna hoga aur maal haram bohat sa hasil karega.

Leave a Comment