Khwab mein Aazaar Teh Band Dekhna
teh band dekhne ki tabeer hazrat ibne sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khwab mein azar aurat hai, agar khwab mein dekhe keh teh band bandha hai to daleel hai keh aurat chahega ya kaneez kharidega, aur agar dekhe keh azar yani teh band zaya ho gia hai, to daleel hai keh aurat juda hogi, aur agar dekhe keh azar phat gia hai to aurat kay nuqsan aur aib ki daleel hai, aur agar dekhe keh azar aag mein jal gia hai to afat aur aurat ki bimari ki daleel hai.
Hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi dekhe keh us ka teh band soti ya pashemina ka hai to daleel hai keh us ki aurat laraki aur deen dar hogi. aur agar dekhe keh us ka azar purana aur maila hai to us ki taveel pehly kay khilaf hai aur agar dekhe keh us ka azar raisham ya abraisham ka hai to daleel hai keh us ki aurat mashar ayash aur mutkabbar hogi.