Khwab mein Angoor Dekhna

Angoor

Khwab mein Angoor Dekhna

angoor dekhna hazrat daniyal alaihissalam ne farmaya hai keh mosam par khwab mein angoor siyah khana gham o andwah ki daleel hai bay waqt khof aur tars hai.

ehl e tabeer nay biyan kia hai keh siyah angoor kay har aik dany khae hoye kay shumar par us ko baid ya lakriyan marengy. aur angoor safaid ka waqat par khana umeed se barh kar duniya ki khair aur naimat hai aur bay mosam khana ye daleel hai, keh sahib khwab kay monh se koi chease niklegi, us ki daleel maal kharch karna hai aur angoor surkh khanay ki bhi yehi daleel hai.

Hazrat Ibne sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khawab mein angoor safaid mosam mein khana maal o dolat ki daleel hai magar mehnat se milega. aur angoor surkh mosam mein khana thoray nafa ki daleel hai. jis angoor ka chilka sakht hai. us ka khwab mein khana maal ki daleel hai jo mushkil se milega. aur halkay chilkay wala angoor maal halal ki daleel hai aur jis angoor ka pani siyah hai, maal haram ki daleel hai aur jo angoor dekhne mein surkh hai, izzat aur martaby ki daleel hai, aur jo angoor dekhne mein siyah hai, gham o andwah ki daleel hai aur jo angoor shiyeh tar aur pakizah tar hai, maal o jaah aur ziadati izzat ki daleel hai.

Hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein dekhe keh angoor lakri kay auzar se nachorta hai to daleel hai keh zalim badshah ki hakomat karega. aur agar eint ya matti se nachorta hai to daleel hai keh ba diyanat badshah ki khidmat karega aur agar pakki eint ya gach aur pathar aur chonay se nachorta hai to daleel hai keh ba siysat aur ba haibat badshah ki khidmat karega.

aur agar dekhe keh angoor tashat mein nachorta hai to us amar ki daleel hai keh kisi ameer aurat ki khidmat karega aur agar dekhe keh angoor piyale mein nachorta hai to daleel hai keh kisi kaminay shakhs ki khidmat karega.

aur agar sheerah nachor kar matkon mein jama karta hai to daleel hai keh zariye say apnay liye bohat sa maal jama karega. aur agar angoor ehl o ayal samait nachorta hai to daleel hai keh us ko aur us kay ayal ko badshah ki khidmat say faida hasil hoga.

Hazrat jafar sadiq razi Allah o anha ne farmaya hai keh angoor saiyah aur safaid waqt par aur bay waqt par khawab mein dekhna teen waja par hai. Awwal: Farzand Naik, Doom: eilm Faraiz, Soom: Maal Halal.

Neez aap ne farmaya hai keh angoor ka nachorna bhi teen waja par hai. Awwal: Maal ya khairo barkat, Doom: Farakhi Naimat, Soom: Kehat se Aman Pana.

Leave a Comment