Khwab mein Aatish Zanah Dekhna

Aatish-Zanah

Khwab mein Aatish Zanah Dekhna

chaqmaqaq dekhna hazrat ibn e sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh atish zana aur sang atishdan daono shareek hain, aik un mein se qawi aur dalair hai aur dusra sakht dil hai. yeh dono logon ko taraqi aur baray kamon par latay hain.

Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi dekhe keh atish zana se aag nikali aur us se charag roshan kia, agar khwab ko dekhne wala badshah hai to daleel hai keh raya us kay adal aur insaf se araam paegi aur agar khawab dekhne wala alim hai to daleel hai keh log us kay eilm aur aqal se behrah yab hongay aur agar sodagar hai to daleel hai keh logon ko us se khair aur bakhshish aur ehsan pohanchega aur agar darwaish hai to log us ki khaslat aur kardar se faida uthaengy.

Hazrat jafar sadiq razi Allah o anha ne farmaya hai keh agar dekhe keh atish zana se aag nikli hai to daleel hai keh badshah kay liye haram jama karega ya us kay kaam mein rishwat lega aur agar pathar chaqmaqaq mein se aag roshan na kar sake to daleel hai keh maal ko talab karega aur na paega.

Leave a Comment