Khwab mein Aastana Chokhat Dekhna

Aastana---Chokhat

Khwab mein Aastana Chokhat Dekhna

astana chokhat hazrat ibne sireen rahmatullah alaihi ne farmaya hai, agar koi shakhs khawab mein dekhe keh us kay ghar ka aastana buland howa hai to us amar ki daleel hai keh usi qadar maal o naimat aur martabay ki bazurgi paega.

aur agar dekhe keh us ka ghar astana gir gaya hai to daleel hai keh wo apnay martaba se girayga aur logon mein zaleel hoga aur agar dekhe keh us kay ghar ka astana barish ki tarah saaf pani girata hai to daleel hai keh usi qadar maal aur naimat paega, aur agar dekhe keh us kay ghar kay aastana se saanp aur bichoo girtay hain to daleel hai keh badshah ya hakim se us ko ranj pohanchega.

hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs dekhe keh ghar ka aastana us par gira hai aur wo khud us kay niche phans gia hai to us ki halakat kay khaof se daleel hai, aur agar dekhe keh us ka ghar ka aastana kai tarah kay rangon se manqash hai to us amar ki daleel hai keh zeenat aur araish kay sath duniya mein apni zindagi basar karega.

Leave a Comment