bila raftan yani uper jana hazrat muhammad bin sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs dekhe keh pahaar ki choti par behta hai ya bala khana tela ya mahal ya mand us ki kisi chease par betha hai to daleel hai keh jis chease ki talash mein hai paega aur us ki murad puri hogi.
aur baaz ehle tabeer ne bayan karte hain keh agar dekhe keh mushakil se upar gia hai to daleel hai keh jis chease ki talash mein gia hai us ko ranj aur mushakil se paega aur agar dekhe keh seerhi kay uper charh gia hai to daleel hai keh deen mein izzat aur martaba paega. khaas kar agar seerhi matti ki hai aur agar dekhe keh seerhi chunay aur pathar ki hai us par se upar ko jana daleel hai keh us jahan mein sharf aur izzat paega, aur agar dekhe keh seerhi kachi eanton aur matti ki bani hoi hai to daleel hai keh akhrat mein qadro qeemat o manzalat paega, aur agar dekhe keh asman par gia aur wapis aa gia hai to daleel hai keh wo sakht bimar hoga aur aakhir kaar shafa paega.
hazrat jafar sadiq razi allah hu anha ne farmaya hai keh khawab mein upar jana panch waja par hai, Awwal: hajat ka pura hona, Doom: aurat chahna, Soom: Qarb aur bazurgi, Chaharam: murad pana, Panjam: Kaam ka bala jana.