Khwab mein Ababeel Parasto Dekhna
parasto ababeel hazrat ibn e sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein dekhe keh us kay pass ababeel hai ya kisi ne us ko di hai to daleel hai keh jis say juda tha, phir anas hasil karega aur us kay muqam mein qarar paega, aur agar dekhe keh ababeel ko mara ya hath se giraya hai to daleel hai keh jis se muhabbat rakhta hai us se judai dhondega.
hazrat ibrahim karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh ababeel ka khawab mein dekhna maaldar aur bakhard shakhs hai, aur agar ababeel madah ko dekhe to aurat khard mando tongar hai, aur agar dekhe keh ababeel us se ur gia hai to daleel hai keh mard se dolat juda hogi, aur agar dekhe keh ababeel us kay hath mein mar gia hai to daleel hai keh us ka dost marega aur andwah gham dekhega.
hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein dekhe keh us nay ababeel ko pakra hai to us amar ki daleel hai keh wo ghamon se najat paega aur khaof aur dehshat se aman mein hoga.