Khwab mein Aaeena Sheesha Dekhna,
Hazrat ibn e sirin rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khwab mein aiana dekhna walaiyat aur martaba hai aur agar dekhe keh us kay paas aina hai ya kisi ne us ko diya hai to daleel hai keh aaeena ki barai kay andazay par qadar aur martaba walayat aur naimat paega.
aur agar dekhe keh kisi ko aaena diya hai to yeh daleel hai keh apna maal o mata kisi kay samnay paish karega aur agar dekhe keh chandi kay shishay main nagah karta hai to yeh daleel hai keh apnay martabay aur izzat ko nafrat ki nigah se dekhega, kion keh tabeer biyan karne walay chandi kay shishay ko bura khial karte hain.
Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein lohay kay shishay ko dekhe to daleel hai keh agar us ki aurat hamla hai to larka peda hoga sab baton mein baap ki mashaba hoga aur agar yehi khwab aurat hamla dekhe to larki peda hogi, jo sab tarah say apni maa jesi hogi, aur agar aurat hamla nahi hai to us ka shohar us ko talaq de kar dusri aurat karega aur wo aurat dusra shohar karegi, aur agar larka khwab mein shisha dekhe to daleel hai keh us ka aur bhai peda hoga, agar larki ne shisha dekha hai to daleel hai keh us ki aur hamsheerah aegi, aur hakim ya badshah sheesha dekhe ga to mazool hoga aur hakoomat us kay hath se nikal kar kisi aur ko milegi aur jo us ka jae nasheen ho jaega.
Hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khwab mein aaena dekhna 6 waja par hai. Awwal: aurat, Doom: pasar, Soom: jah-o-farman, Chaharam: yar-o-dost, Panjam: shareek, Shisham: Car roshan.
aur yeh bhai Aap ne farmaya hai keh agar ghareeb admi khwab mein aina dekhe to us amar ki daleel hai keh aurat aur bazurgi paega, agar larki dekhe to us ki shahdi hogi aur shohar kay nazdeek azeez aur garami hogi.
aur agar khwab mein dekhe keh us ko kisi majhool aadmi nay shisha diya hai to us amar ki daleel hai keh ghaib dost ko dekh kar khush hoga.