Khwab mein Aag Ka Shararah Dekhna
aag ka shararah yani aatish dekhna hazrat ibn e sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khawab mein shararah aatish dekhna buri baat hai jo usay pohanche gi agar aag kay shararay us par bay qayas paren to daleel hai keh mehnat aur balaye sakhat mein girftar hoga.
Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar dekhe keh shahar ya kocha mein aag kay shararay girte hain to daleel hai keh us jaga jang aur fitna uthega aur agar aag kay shararay bohat baray baray dekhe to daleel hai keh azab e khuda tala us ko ya us moza ko pohanche ga.
agar dekhe keh aag kay shararay logon mein girtay hain to daleel hai keh us jaga jang aur jhagra hoga, aag dalna aur aag se phisalna bohat galiyan dena hota hai.
hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar dekhe keh hath mein aag ka tukra ho to daleel hai keh badshahi kaam mein mashghool hoga aur agar aag kay sath dhunwan dekhe to kaam mein khauf ki daleel hai.
agar khawab mein dekhe keh aag us kay hath mein sard ho gai hai to daleel hai keh badshah ki khidmat mein maal haram hasil karega aur agar dekhe keh us aag mein se aik tukra aur logon ko deta hai to daleel hai keh us kay fal se logon ko ranj aur nuqsan hoga aur log us kay dushman ho jaengy aur aag par khanay ki cheasen pakae aur khae to daleel hai keh logon se achi achi baten sunega.
Hazrat jafar sadiq razi Allah hu anha ne farmaya hai keh khawab mein aag ka dekhna pachees waja par. 1 fitan, 2 jang, 3 fasad, 4 khauf, 5 khasusiat, 6 buri baten, 7 kaam se mana, 8 badshah ka ghussa, 9 azab, 10 nafaaq, 11 bay rahi, 12 eilm aur hikmat, 13 hadayet ka rasta, 14 museebat, 15 tars, 16 jalna, 17 khidmat badshah, 18 taoon, 19 sar sam, 20 aabla, 21 kashaish kar, 22 fazeelat, 23 maal haram, 24 rozi, 25 nafa.