Khawab Mein Loha Dekhne Ki Tabeer
Hazrat ibn e sireen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh mamooli ahan ka khwab mein dekhna khadim hai, warna baqdar loha duniya ka maal milega aur agar dekhe keh us ko kisi ne khwab mein loha diya hai to daleel hai keh us lohay ki qadar par koi us ko duniyawi maal dega.
Hazrat karmani ramatullah alaihi ne farmaya hai keh khwab mein logay ka dekhna salahiyat aur badshah se nisbat rakhta hai. agar dekhe kay lohay ko pathar se nikala hai to daleel hai keh us ko sakhti paish aegi.
Hazrat jabar magrabi rahmatullah alaihi nay farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein dekhe keh angri karta hai halan kay wo ahngron mein se nahi hai, to us amar ki daleel hai keh kisi kay sath jhagra hoga. aur agar yeh khud ahangar hai to yeh khwab khair o manfat ki daleel hai, aur baaz tabeer biyan karne waly kehtay hain keh taveel badshah aur bazurg hai.
Hazrat ibn e sireen rahmatullah alaihi nay farmaya hai keh agar ahangar khwab mein maroof ko dekhe to badshahi ki daleel hai, aur agar maroof ko na dekhe to jo kuch dekha hoga, us ki naik aur bad tabeer ahangar ki taraf rajoo karegi aur agar khwab mein dekhe keh lohay ya pittal ko galata hai to daleel hai keh wo shakhs logon ki ghibat karta hai aur bura kehta hai.
Hazrat jafar sadiq razi Allah-o-Anha nay farmaya hai keh jo chease khwab mein logay ki khawah 2 sozan dekhe, daleel nafa aur quwat aur walayat aur tawanai aur dushman par fatah panay ki daleel hai.