Close Menu
    Facebook X (Twitter) Instagram
    KhwabNama
    • Home
    • Quran Pak
      • Quran Pak
      • Quran Pak In Mp3
    • Khwab Nama Yousufi
    • Khwab Ki Aqsam
    • Surah Hay Qurani
    • Islamic Names
      • Boys
      • Girls
    • رابطہ
    KhwabNama
    Home » Khwab Nama » Khwab mein Aatsheen Parastidan Aag Ka Pojana

    Khwab mein Aatsheen Parastidan Aag Ka Pojana

    By Samia2 Mins Read0 Views

    Aatsheen-Parastidan

    Khwab mein Aatsheen Parastidan Aag Ka Pojana

    khawab mein aag ka pojna hazrat daniyal alaihissalam ne farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein dekhe keh aag ko sajdah karta hai to us amar ki daleel hai keh zalim badshah ko sajdah karega aur us ki khidmat mein mashghool hoga aur us ko razi na kar sakega aur agar dekhe keh tanoor ya aag ya charagh ko sajdah karta hai to daleel hai keh aurton ki khidmat mein mashghool hoga aur agar dekhe keh aag ko pojta aur bosa deta hai to daleel hai keh badshah ka mukhbar hoga.

    agar dekhe keh aag mein khwar ho raha hai to daleel hai keh badshah ki sadagri ki ragbat karega, lekin natija acha na hoga. khas kar agar aag se jisam par takleef pohanche, aur agar aag se jisam ko takleef na pohanche to daleel hai keh salamti aur jamiat khatir badshah waqt se dekhega aur agar khwab mein aag kay andar chala jae to daleel hai keh badshah se usi qadar faida uthaega.

    agar khwab mein dekhe keh aag us kay chehray ya kapray ya hath se roshani deti hai, chunancha log us kay noor se hairan ho jaen to daleel hai keh dushman par fatah aur dono jahan ki murad paega aur yeh mojza hazrat moosa alaihissalam ka firaon kay muqablay mein tha.

    Hazrat ismael ashat rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein dekhe keh aag ko pojta hai to daleel hai keh shahi bazdari karega aur agar inkari ki shakal par hai to us ki gharz deen se maal jama karna hoga aur maal haram bohat sa hasil karega.

    aag dekhna Khwab mein Aatsheen Parastidan Aag Ka Pojana
    Share. Facebook Twitter Pinterest LinkedIn Reddit WhatsApp Telegram

    Related Posts

    tabeer uroyaa ibne sereen

    6imam

    tabeer uroyaa ibne sereen

    Khwab Main Aozo Billha Parhna Dekhna

    Khwab mein Takhma Haiza Dekhna

    Khwab mein Taryaak Dekhna

    Add A Comment
    Leave A Reply Cancel Reply

    • Home
    • Privacy Policy
    • Sitemap
    • Contact Us
    © 2026 KhwabNama.com

    Type above and press Enter to search. Press Esc to cancel.