Khwab mein Abar Asfanj Dekhna,
Hazrat ismaeel ashat rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khwab mein abar siyah, dar aur khof aur sakhti ki daleel hai, aur barsany wala abar khair o barkat aur farakhi ki daleel hai, aur gham o andwah bhi hota hai.
Lekin woh abar keh jis ko darya kay kinaray se latay hain aur jis ko arbi zuban mein asfanj kehty hain, us ko khawab mein dekhna us amar ki daleel hai keh jis andazy par dekha hai, usi andazay par maal ghanimat hasil hoga.