Khwab mein Abroha Dekhna

Abroha

Khwab mein Abroha Bhanwen Dekhna,

Hazrat ibn e sireen ramhatullah alaihi ne farmaya hai keh abro ka khwab mein dekhna deen hai, agar khawab mein dekhe keh us kay abro poray be nuqsan hain to daleel hai keh us ki zeenat pori aur kamil hai, aur agar dekhe keh us kay abro gir gay hain to us ki taveel pehly key khalaaf hai.

Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar dekhe keh abro nahi hain ya un kay baal gir gay hain to us amar ki daleel hai keh aik chease ka irada karega jis se us kay deen mein badnami aur fasaad hoga aur agar us kay khilaf dekhe to daleel hai keh kisi chease ka qasad karega jis se naik nami aur deen ki aslah hogi, agar dekhe keh us kay abro safaid ho gay hain to daleel hai keh us ka eilm aur tahammal ziada hoga, lekin maal ka nuqsan hoga.

Hazrat jabar magrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar aik abro ko gira howa dekha aur dusri ko khara howa dekha to daleel hai keh us kay maal aur martabay mein nuqsan parega, aur baaz kehtay hain keh deen ki zeenat kay nuqsan par abro ka girna aur ukharna daleel hai.

Leave a Comment