AlifKhwab Nama

Khwab mein Afroshtah Dekhna

Afroshtah

Khwab Min Afroshta Dekhne Ki Tabeer

Hazrat Muhammad ibn e sireen ramatullah alaihi nay farmaya hai keh afroshta wo behtar hota keh jis mein zafran na ho, agar thora dekhe to khwab aur lateef aur khush sakhan hai aur agar bohat dekhe to maal hai, jo ranj aur sakhti se milega, aur agar dekhe keh kisi nay us ko thora sa afroshta dia hai aur us nay khaya hai to daleel hai keh us se pakeeza baat sunega jo mawafiq taba hogi aur dekhe keh us kay pass bohat sa afroshta hai to daleel hai keh usi qadar maal sakhti aur ranj se hasil hoga.

Hazrat jafar sadiq razi-Allah-o-anha nay farmaya hai keh khwab mein afroshta ka khana teen waja par hai. Awwal: Sakhan Lateef. Doom: Maal. Soom: Dil ki murad pana.

Leave a Reply

Back to top button