Khwab mein Anda Maha Jisam kay Tukray Dekhna,
Hazrat ibn e sirin rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein dekhe keh qom kay ajsam ziada ho gay hain to daleel hai keh us kay apnay ehl e bait ziada hongay, aur agar dekhe keh us kay aza cut gay hain ya jisam se gir pare hain to daleel hai keh safar karega, us kay apnay para ganda hongay aur agar dekhe keh us nay apna jisam kata hai ya para ganda howa hai to daleel hai keh apnay ehl e bait aur khwishon ko sheharon mein para ganda karega.
Hazrat Karmani Rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi dekhe keh us kay jisam se goshat ka tukra cut gia hai to daleel hai keh us ko khair aur nafa pohanchega. aur agar dekhe keh us ka azu jisam se juda ho gia hai to daleel hai keh us kay mal se koi aadmi zor se kuch lega aur agar dekhe keh apnay jisam mein se goshat kaat kar kisi murag kay agay dalta hai to daleel hai keh apnay maal mein se kisi ko kuch bakhshega.
Hazrat jabar magrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs dekhe keh us kay jisam ka koi hissa us se baten karta hai to daleel hai keh khalqat mein ruswa hoga.
aur agar dekhe keh us kay jisam ka koi hissa kisi raste par ja raha hai to daleel hai keh aisa kaam karega jis par bharosa karega, aur agar dekhe keh us kay jisam mein se kuch juda ho gia hai to daleel hai keh us kay khawaishon mein se koi shakhs safar ko jaega, aur agar dekhe keh us kay aza dard karte hain to daleel hai keh bimar hoga. aur agar dekhe keh parindah us kay jisam se goshat ka tukra le gia hai to daleel hai keh us ka maal zor se lengy aur agar dekhe keh apnay goshat ka tukra prinday kay agay dala hai to daleel hai keh apnay maal mein se kuch kisi ko dega.
Hazrat jabar magrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein dekhe keh us kay azaa mein se koi azu tabah ho gia hai to daleel hai keh wo rahe rasti par nahi raha hai.
Hazrat fazeel razi Allah o anha ne farmaya hai keh main ne hazoor saw ki khidmat mein araz kia, ya rasoolallah saw mein nay aik bohat bura khwab dekha hai, aap ne farmaya keh kia dekha hai? mein nay araz kia keh mein ne khwab mein dekha hai keh logon ne aap kay jisam se aik tukra kata aur meri good mein rakh dia hai. aap ne farmaya, Hazrat fatma razi Allah o ana key han aik larka peda hoga jo tumhari god mein barhega phir bacha peda howa yani hussain razi Allah o ana hazrat fazeel razi Allah o ana ki parwarash mein baray hoye.