Khwab mein Astar Dekhna

Astar

Khwab mein Astar Dekhna

astar dekhna hazrat ibn e sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein astar ko dekhe, agar matee hai to naik hai warna bad hai.

aur agar dekhe keh astar bay zain par behta hai aur maloom nahin hai ke astar kisi ka mulk hai to daleel hai keh safar ko jaega agar dekhe keh apnay astar par betha hai agar safar karega to faida aur nafa paega aur agar dekhe keh astar par palaan ya amari rakhi hai to daleel hai keh us ki aurat banjh hogi khaas kar agar astar us ki mulk hai ya us nay kisi ko bakhsha hai.

Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs dekhe keh astar madah par betha hai aur uncha hai to daleel hai keh wo aurat chahega keh sahib izzat hogi aur agar astar safaid dekhe to zan sahib jamal aur khoob surat milegi, aur agar astar sabz dekhe to daleel hai keh wo aurat parhaiz gaar aur deendar hogi, agar astar surkh hai to daleel hai keh wo aurat matrab aur aish dost hogi, aur agar astar zard ya ashqar dekhe to daleel hai keh wo aurat bimaar go aur zard hogi aur agar astar ko barhana aur tabedar dekhe to daleel hai keh mard zaeef hoga.

Hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khawab mein astar madah aaqa zadah hai, agar astar nar hai to safar karega, aur us eilm kay baaz ustadon nay farmaya hai keh astar nar mard hai aur astar madah aurat hai.

agar dekhe keh kisi say astar madah ko khareed kia hai to daleel hai keh kaneez kharidega aur agar dekhe keh astar madah ko farokhat kia hai to wo koi banjh aurat karega, aur agar dekhe keh astar par betha hai to daleel hai keh us ki umar daraz hogi aur murad hasil hogi, aur agar dekhe keh astar us kay peeche dorta hai to daleel hai keh us ko gham pohanchega.

Hazrat ismaeel ashat rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh koi shakhs dekhe keh astar rota hai to aurton ki taraf se ziyadati maal ki daleel hai aur agar dekhe keh astar us say baten karta hai to daleel hai keh wo ajeeb kaam karega keh jis se loog ziada hairan hongay, aur agar dekhe keh astar ko maar dala hai to daleel hai keh maal paega aur agar dekhe keh astar mar gia hai ya zaya ho gia hai to us amar ki daleel hai keh aurat maregi ya us se kaneez juda ho jaegi, aur agar astar nar hai to kisi mard ki sohabat se juda hoga.

yaad rakho keh khawab mein astar ka goshat aur post maal o dolat hai aur baaz tabeer bayan karne waly kehtay hain keh astar ka gosht bimari hai aur agar khawab mein dekhe keh astar ka doodh pita hai to shair kay andazay kay mutabiq khof aur dar aur dushwari ki daleel hai.

hazrat jafar sadiq razi Allah hu anha ne farmaya hai keh khawab mein astar ka dekhna panch waja par hai, Awwal: safar, Doom: darazi umar, Soom: dushman par fatah bandi, Chaharam jamal o araish, Panjam murad ahmaq, Madah astar banjh aurat hai aur astar ka bacha manfat aur murad ka pana hai.

Leave a Comment