Khwab mein Astarlab Dekhna

Astarlab

Khwab mein Astarlab Dekhna

astarlaab hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khawab mein astarlaab ki taveel badshah kay masahib aur sardar hain, agar koi shakhs khawab mein dekhe keh us kay pass astarlaab hai ya kharida hai ya us ko kisi ne diya hai to daleel hai keh sultani masahibon mein hoga aur qaom ka sardar hoga, aur agar dekhe keh astarlaab gum ho gia hai ya toot gia hai to daleel hai keh us kay jaah aur martaby mein nuqsan hoga.

hazrat jabar maghrabi ramatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein dekhe keh astarlab se aftab ko dekhta hai to daleel hai keh badshah kay kaam ya us kay sardaron kay kaam mein mashghool hoga aur un se khair o manfat paega aur baaz ehl e tabeer bayan karte hain keh khawab mein astarlaab aisa mard hota hai keh jis ko sabaat nahin hota, aur paidaar kaam par nahin hota hai.

Leave a Comment