Khwab mein Awazain Sunna Dekhna

Baang-Dashtan-Janwaran

Khwab mein Awazain Sunna Dekhna

baang dashtan awazen sunna hazrat muhammad bin sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh logon aur janwaron ka khawab mein awaz dena us moza kay liye gham aur museebat ki daleel hai, aur agar dekhe keh us ko kisi door ki jaga se awaz dety hain, agar us nay jawab dia to daleel hai keh jaldi marega aur agar dekhe keh jawab nahin diya hai to daleel hai keh bimar hoga, aur agar dekhe keh ronay ki awaz aati hai to daleel hai keh khush hoga aur agar dekhe keh us nay nala suna hai to daleel hai keh koi na khush baat sunega, aur agar dekhe keh zari ki awaz suni hai to daleel hai keh us ki murad puri hogi aur dushman par fatah paega, aur agar gali ki awaz sunay to us ko makarwah baat pohanchegi aur jaldi zail ho jaega.

Hazrat ibrahim karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein ghoray ki awaz sunay to daleel hai keh wo khushkhabri sunega.

aur baaz ehle tabeer bayan karte hain keh zaroor us ko koi makrwah baat paish aegi, kion kay chopae jhoot nahin boltay hain aur agar gadhay ko awaz karte hoye sunay to daleel hai keh kisi dushman aur jahil se faryad aur shanaat sunega.

aur agar dekhe keh onth yani ( camel ) awaz deta hai to daleel hai keh hajj ko jaega ya tajarat sood aur nafa kay sath karega, aur agar dekhe keh bakri bolti hai to daleel hai keh kisi bazurg se us ko khair aur manfat pohanchegi aur agar bakri kay bachay ki awaz sunay to khushi, shadi aur naimat ki daleel hai.

aur agar khawab mein sunay keh sheer dharta hai to daleel hai keh badshah se khaof aur tars khaega aur agar cheetay ki awaz sunay to daleel hai keh us ko jang aur khasomat paregi, aur agar dekhe keh cheeta awaz kasta hai to daleel hai keh koi us par gusa aur garoor karega.

aur agar dekhe keh bhairiya awaz deta hai to daleel hai keh dushman par fatah paega aur agar dekhe keh gidar awaz karta hai to aurton ki taraf se gham o andesha pohanchega.

aur agar lomri ko awaz karte sunay to daleel hai keh koi jhuta aadmi us kay sath makrohila karega, aur agar billi ki awaz sunay to daleel hai keh us ko choor se khaof hoga aur agar shatar muragh ki awaz sunay to daleel hai keh kisi poshida aadmi ki khabar sunega, aur agar murgh ki awaz sunay to daleel hai keh jawan mard ki khabar sunega aur agar chugad ki khabar sunay to daleel hai keh andwah aur museebat ki khabar sunega, aur agar ullo ko awaz deta sunay to bhi yehi daleel hai, aur agar fakhta ki awaz sunay to daleel hai keh jhuti khabar sunega, aur agar chakoor ki awaz sunay to daleel hai keh bajamal aurat ki khabar sunega, aur agar taoos ki awaz sunay to daleel hai keh ajmi badshah ki khabar sunega.

aur agar kalalang ki awaz sunay to daleel hai keh darwaish mard ki khabar sunega aur agar lak lak ki awaz sunay to daleel hai keh dehati mard ki khabar sunega aur us se khush hoga, aur agar pahari chakoor ki awaz sunay to daleel hai keh naik aurat ki awaz sunega aur agar bohat se chakooron ki awaz sunay to daleel hai keh jhuti khabar sunega, aur agar dekhe keh kaway ki awaz sunta hai to daleel hai keh haram khoor mard ki khabar sunega aur agar chirya ki awaz sune to khushkhabri sunega aur bulbul ki naghmay sune to matrab ya noha gar ki khabar sunega.

aur agar saaz ki awaz sune to bhi matrab ya noha gar ki awaz sunega, agar murghabi ki awaz sune to daleel hai keh us ko gham o andwah pohanchega, agar battakh ki awaz sunay to us kay ehal mein se kisi par museebat aegi, aur agar murg kay bachon ki awaz sunay to matam aur museebat pohanchegi.

hazrat jafar sadiq razi Allah ho anha ne farmaya hai keh sab murghon ki awaz khawab mein sunna naik hai magar wo murgh keh jis ki awaz faal mien latay hain kion keh us ki awaz andwah aur museebat hai.

aur saanp ki awaz dushman se tars aur khaof hai, lekin zanboor aur tiddi ki awaz dar aur khaof par hai aur chipkali ki awaz daleel hai keh kisi jaga par utray gi.

hazrat jabar magrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar khawab mein dekhe keh asman se ya zameen se ya hawa se khofnak awaz aati hai to badshah par gham o andwah aur museebat ki daleelh ai aur har chand khair aur sar ki tabeer denay wali hai.

Leave a Comment