Khwab mein Dakar Lenay Ki Tabeer
aarog dakar lena hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein dakaar aata hai dekhe to daleel hai keh aisi baat karega keh jis se us ko hurmat hogi, aur agar dekhe keh dakaar kay sath us kay galay se khana nikla hai to daleel hai keh us ki maot (deat) qareeb hai.
hazrat Muhammad bin sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi khawab mein dekhe keh dakar tarsh aya aur bura aya to daleel hai keh aisi baat karega jis se nuqsan aur khatrah dekhe ga aur agar dakar dhunwain jesa dekhe to daleel hai keh bay waqt baat kahega keh jis se log us ko malamat karenge aur us ayeb ka anjam pashemani hogi.