Khwab mein Iblees Shaitan Ko Dekhna
Hazrat daniyal alai hissalam ne farmaya hai keh khwab mein iblees ka dekhna dushmani, bad deeni, jhoot, faraib, bay sharmi, naiki say na umeedi aur logon ko badi sikhany aur shar o fasad ki daleel hai, agar khwab mein dekhe keh iblees ko larai aur jang mein maghloob kar lia hai to daleel hai keh us ka mailan salah aur khair ki taraf hai aur agar dekhe keh iblees us par ghalib aa gia hai to daleel hai keh shar aur fasad ki raah ki taraf mail hoga. agar khawab mein dekhe keh shaitan us say baten karta hai to daleel hai keh us ko rasta se phairega aur ataat se rokega.
agar dekhe keh iblees us ko nasihat karta hai aur us ko bhali maloom hoti hai to daleel hai keh us kay maal aur jisam ko nuqsan pohanchega, aur agar dekhe keh iblees nay us ka hath pakara aur us ko us jaga le gia aur us nay la hawla wala quwwata illa billah hil aliyyil azim nahi hai phirna gunah say aur na taqat naiki ki, magar Allah buland buzurg kay sath hai, parha hai to daleel hai keh kisi baray gunah mein parega aur phir kisi ki nasihat se us gunah se rukega aur agar dekhe keh us ne iblees ki gardan main taoq dala hai, to daleel hai keh ehl e deen o salah ko khushi pohanchegi aur agar dekhe keh iblees zaeef aur ajaz hai to daleel hai keh masallah almon aur naik logon ki taqat hogi.
Hazrat Karmani Rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein dekhe keh iblees ka matee ho gia hai to daleel hai keh khawaish nafsani mein mubtala hoga aur agar dekhe keh iblees ne us ko kuch diya hai to agar wo achi chease hai to maal haram paega, aur agar wo buri chease hai to daleel hai keh us kay deen mein fasad hoga.
Aur agar koi shakhs dekhe keh iblees shad-o-khurram hai to daleel hai keh logon kay kaam mein qawi fasad hoga, aur agar dekhe keh iblees ko talwar maar kar halak karna chahta hai aur wo bhaag giya hai to daleel hai keh us ko aik mulk milega aur wo adal o insaf karega, aur agar dekhe keh iblees mara hai to daleel hai keh apnay nafs ko maghloob karega aur naik rastay par chalega.