Khwab mein Manarah Dekhna
hazrat ibne sereen rahmtaullah alaihi ne farmaya hai keh khawab mein minara aisa shakhs hai jo logon ko rahe deen ki taraf dawat deta hai. agar khawab mein dekhe keh us ne minara bnaya hai to daleel hai keh naik kaam karega aur ehl e islam ki jamaat ko jama karega, aur agar dekhe keh us ne manarah ukhara hai aur kharab kia hai to daleel hai keh musalman mutfarriq hongay. aur baaz ehl e tabeer ne bayan kia hai keh us manaray ka moazzan duniya se rahlat karega.
Hazrat ibrahim karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khawab mein manarah badshah ya koi bara admi hai, agar kisi kochay mein manara dekhe to daleel hai keh koi bara admi us kochay mein aega. aur agar manarah choonay aur eant ka dekhe to daleel hai keh shahi sardar hoga, aur agar kachi eant ka manarah dekhe to daleel hai keh wo bara admi raya mein se hai aur deendar aur matwaza hai aur agar manarah pathar aur choony ka dekhe to daleel hai keh wo badshah zalim ka sardar hoga, aur agar lakri ka manarah dekhe to daleel hai keh wo sardar kamina aur kam himmat hoga, aur agar manarah masjid kay darwazy par dekhe to daleel hai keh wo sardar aalim aur fazil hoga aur logon ko shariyat kay kamon ki taraf bulaega, aur agar dekhe keh masjid ka manarah gira hai to daleel hai keh deen kay buzurgon mein se koi marega aur logon mein tashweesh aur pareshani hogi, aur agar dekhe keh shehar kay darmiyan manarah hai to badshah par daleel hai, aur agar dekhe keh manary ka kalas tanmbay ya bhart ka hai to daleel hai keh badshah zalim aur jabar hoga, aur agar dekhe manaray ki choti sonay (gold) ya chandi ki hai to daleel hai keh badshah jhoota, bay wafa aur ghaddar hoga.
Agar manarah pakki eant ka hai to daleel hai keh badshah gardan kash aur matkabar hoga, aur agar apnay aap ko manarah ki choti par dekhe to daleel hai keh badshah ka maqrab hoga aur us ka kaam intezam se hoga, aur agar dekhe keh manara par khana rakha howa hai to daleel hai keh us mulk mein koi badshah zahir hoga.
hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi ne farmaya agar dekhe keh manaray mein hai aur namaz ki azaan kahi hai to daleel hai keh badshah khalqat se naik waday karega aur agar dekhe keh us nay jama masjid kay manaray par namaz kay liye azan kahi hai to daleel hai keh hajj o umrah karega, aur agar dekhe keh manary nay harkat ki hai to daleel hai keh badshah bimar hoga, aur agar dekhe keh badshah nay minaray ko giraya hai to daleel hai keh badshahi paega aur us badshah ko magloob karega aur us se walayet lega.
Hazrat jafar sadiq razi Allah hu anha ne farmaya hai keh khawab mein manaray ko dekhna chaar waja par hai. Awwal: Badshah, Doom: koi bara aadmi, Soom: imaam, Chaharam: moazzan.