Khawab Mein Pani Ka Dorna Dekhne Ki Tabeer
Hazrat ibn e sireen rahmatullah alaihi nay farmaya hai, agar koi pani ko ghair mahal par dorta dekhe to us amar ki daleel hai keh khudawand khwab mein ghamgeen aur qarz dar hoga aur agar apni jaga par dekhe to qarz se najat aur gham se khushi dekhega, aur agar dekhne wala maldar hai to maal ka nuqsan hoga.
Hazrat daniyal alaihissalam ne farmaya hai agar na maloom jaga par pani dorta dekhe to us amar ki daleel hai keh sahib e khwab us moza kay ehal se aurat paega ya bandi kharidega.
aur agar pani ki jaga khwab mein khoon dorta howa dekhe to yeh us kay nuqsan ki daleel hai aur agar pani ki peep dorte hoye dekhe to daleel hai keh us kay yahan bimar bacha hoga, baaz ehl-e-tabeer biyan karte hain keh pani ka dorna haram mal ki daleel hai aur agar dorte hoye pani ko punay to daleel hai keh haram maal khaega.
Hazrat karmani rahmatullah alaihi nay farmaya hai keh agar kunwain main pani dorta howa dekhe to daleel hai keh kisi se maal halal paega, aur agar pani dorta dekhe to daleel hai keh farzand hafiz Quran aur aalim aur dana aaega, aur loog us kay tabedaar hongay.
Hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi nay farmaya hai keh agar masjid mein pani dorta dekhe to daleel hai keh apny maal ko khazana karega lekin apnay liye nahin. aur agar dekhe keh pani ki daur say us ka kapra tar ho gia hai to daleel hai keh apna maal apnay farzand kay liye jama karega. kion kay hazrat jafar sadiq razi Allah o anha ne farmaya hai keh apni jaga mein pani dorta howa dekhna maaldari ki daleel hai. un kay liye jo darwaish hain ghulam azaad hoga, bimaar shafa paega, qaidi najaat paega, musafir watan ko aega, hakim mazool hoga, khalifa marega, qazi mazool hoga aur sodagar nuqsan uthaengy.
Hazrat ismaeel ashat ramatullah alaihi farmate hain agar khawab mein apnay ghar mein pani ko dorta howa dekhe to daleel hai keh apna maal apni aulad kay liye khazana karega, lekin us kay auz aur paega.