Khwab mein Aahak Dekhna

Aahak

Khawab Mein Chuna Dekhne Ki Tabeer

Hazrat daniyal alaihissalam nay farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein dekhe keh chuna kay sath jism se baal munday hain, agar maal-dar nahi hai to usi qadar maal dar hai aur agar ghamgeen hai to gham se najat paega aur agar qarz dar hai to qarz ada karega.

Hazrat ibn e sireen ramatullah alaihi nay farmaya hai keh khwab mein chunay se baal urana, agar maal dar hai to maal aur bhi ziada hoga aur agar darwaish hai to qarz se sur-kharo hoga aur kafron kay liye islam ka nishan hai.

Hazrat jafar sadiq razi Allah-o-Anha nay farmaya hai keh khwab mein chuna teen waja par hai, Awwal: Khair hai. Doom:buri Na-khush Batain hain. Soom: Mushkil kaam, aur chunay ki amaarat waghera bnana buri tabeer rakhta hai.

Leave a Comment